Sunday, April 19, 2015


  निरंतर अपने आप से छुपे ,
 निरंग जीवन की अंतहीन सोचे ,
 नहीं अस्तित्व उस भाव को खोंजे ,
 अल्प में ही सहमी रहें ,
 सकल संग भी अकेले है ,
 देखकर सब अनदेखा करे ,
 अभिनय से भय को ढाके ,
 असल जानकर भी अंजान डगर में बहे ,
 नित्य नई ठगी जाएं ,
 फिर भी किसकी प्रतीक्षा में जियें ! … 





Nirantar apne aap se chhupe ,
Nirang jeevan ki antheen soche ,
Nehin astitva us bhav ko khoje ,
Alp me hi sehmi rahein ,
Sakal sang bhi akele hai ,
Dekh kar sab andekha karein ,
Abhinay se bhay ko dhake ,
Asal jaankar bhi anjaan dagar me bahe ,
Nitya nayi thagi jayein ,
Phir bhi kiski pratiksha me jiye ! ..